Privacy Policy
Aakhri update: 27 October 2026Rehnuma Pakistani students ke liye ek AI tutor hai. Yeh page seedhe lafzon mein batata hai ke hum kya maloomat lete hain aur us ka kya karte hain.
1. Hum kya maloomat lete hain
- Account: aapka naam, email, class aur password (password hamare paas parha nahi ja sakta, woh mehfooz tareeqe se rakha jata hai).
- Aapki parhai: aapke sawal aur tutor ke jawab, MCQ ke nateeje, kamzor topics, school diary aur study plan, taake aapko behtar madad mil sake aur doosre device par bhi chal sake.
- Group class: class mein likhe hue sawal aur jawab, aur aapka pehla naam. Class ka code sirf unhi ko milta hai jinhein aap bhejein.
- Awaz (mic): aap mic on karein to aapki awaz class ke doston tak seedhi jati hai. Jab aap tutor se bolein to awaz ka chhota tukra text mein badalne ke liye hamare server aur AI service ko bheja jata hai. Hum awaz record kar ke save nahi karte.
- Photo: agar aap kisi sawal ki photo bhejein to woh sirf jawab dene ke liye AI ko bheji jati hai.
2. Hum is ka kya karte hain
Sirf aapko tutor ki madad dene, progress dikhane, aur account chalane ke liye. Hum aapki maloomat bechte nahi aur ads ke liye kisi ko nahi dete.
3. Kin services ka istemal hota hai
- Supabase: account aur data mehfooz rakhne ke liye.
- Groq: AI jawab aur awaz ko text mein badalne ke liye.
- Brevo / email service: verification code aur welcome email bhejne ke liye.
- Vercel aur Railway: website aur server chalane ke liye.
Yeh services apni apni privacy policy ke mutabiq kaam karti hain.
4. Bachon ki hifazat
Class 1 se 5 ke bachon ke liye dosto wali group class aur friends chat band hain. Chhote bachon ko Rehnuma walidain ki nigrani mein istemal karna chahiye. Hum bachon se un ki zaroorat se zyada maloomat nahi mangte, aur kisi anjaan ko un se rabta karne ka tareeqa nahi dete.
5. Aapke ikhtiyar
Aap apna naam badal sakte hain. Apna account aur data mitwane ke liye "Problem batao" (website ke menu mein) ke zariye humein likhein, hum jaldi se jaldi us par amal karenge.
6. Hifazat
Hum aapka data mehfooz rakhne ki poori koshish karte hain, lekin internet par koi bhi cheez 100%% mehfooz nahi hoti. Apna password kisi ko na batayein.
7. Tabdeeli
Hum yeh page waqt ke saath badal sakte hain. Badalne par upar ki tareekh nayi ho jaye gi.
8. Rabta
Koi sawal ho to website ke menu mein "Problem batao" istemal karein.